MUMBAI: A Mumbai-based rapper, Naezy, has uploaded a music video for his new song, ‘Haq Hai’ that comes out in support of the student protests gripping India, and criticised the government’s high handed response.

“Haq Ki ladai zaroori hai Haq hai!” Naezy proclaims, in reference to a wave of student protests. Although Naezy doesn’t get into specifics, recent protests have included students at Jawaharlal Nehru University, the Occupy UGC movement, protests at FTII, protests at Hyderabad Central University, and a number of protests across universities in solidarity.



The lyrics of the song are as follows:

Mumbai ka Mai chokra ye nagri hai ayyaasho ki ameero ki sitaaro ki funkaaro ki ghumkhaaro ki
gareebko ki fakeero ki bas daal roti ki bhi kadki hai majboori hai
maal daaro ki tadki hui tandoori hai bhadki hui maa ro ri hai
Khaa k maa ki Lori wo
ladki bhooki so ri hai
Wo tarsi hui si thodi hai
Khaane ko bhi wo ro rahi hai
Nahaane Ko bhi nahi mori hai
Wo raste pe hi dho ri hai
Wo saste me badi ho ri hai
Sarkaar apni so ri hai
Paiso ki padi bori hai
2 g 3 g kyu ji kitni inki chori hai
Chori toh chori uppar se seena zori muh par jhooti choli hai!
ye raakshaso ki toli hai
Yeh kis prakaar ki basti hai
Ab mujhko aap boliye
Apni aankh kho liye
maine toh bas bad bad kardi
kuch toh aap sochiye
Oh desh nawjawan
ab kuch Toh aap boliye
Apne vichaar Kholiye!

Sarkaari nizaam bhot hi dheet hai (chor hai Saale)
Tarkari k Daam me Bhi cheating
Awaaz uthaana padega kyu kyu k
Haq Ki ladai zaroori hai Haq hai!

Kandhe se kandha milakar
Haathi aur ghodo ko lekar
Chalo unnati ko dhoonde
Hindustani mitti par
Sona ugle government
Hai chhutti par saari
Kursi jaali kursi
Khair chalo khade hote
Khud k pairo pe
Bajaye nochne Ek
Dosre Ko chalo nochne
Phal jo humare pata pita
Ne boya tha kal jo humare
Dada pardada ne khoya tha
Chal waapas laane un Sab cheezo
Sirf Daulat nahi hai Shohrat hai
Jazba Bhi hai tehzeeb hai Sanskruti hai
Ajeeb hai par jo Bhi hai qareeb hai dil k
Mil k hum taqatwar hai warna Toh hum aapas me hi ladte rehange
Political parties parties hi karte rehangi
Kaanun latki de mantrilog masti me
Laashon Ka Dher kisaano Ki basti me zabardasti inki kab tak jhelenge?
Awaz uthaaneka aur Khud Ko aage laane Kya! Khud Ko aage laane ka!

Sarkaari nizaam bhot hi dheet hai (chor hai Saale)
Tarkari k Daam me Bhi cheating
Awaaz uthaana padega kyu kyu k
Haq Ki ladai zaroori hai Haq hai!